page contents THE GREAT SUFI SAINTS

Sunday 26 June 2016

Dil Ki Lagi By DEWAAN WAHID


Dil Ki Lagi Ab Qaza Ban Gai Hai
Teri Bay-Rukhi Ab Qaza Ban Gai Hai

Rindo Say Shikwa He Kiya Baywafai
Baywafai He Ab Tu Wafa Ban Gai Hai

Shikwa Karo Bay-Rukhi Ka Na Un Se
K Un Ki Tu Ab Ya Adda Ban Gai Hai

K Na Aaain Gay Woh Iss Jahaan o Alam Mein
Key Manzil He Un-Ki Judda Ban Gai Hai

Nehi Deakhtay Woh Janib Humari
K Un-ki Nazar Bhi Khuda Ban Gai Hai

Aah Jo Nikli Mazloom Dil Se
Falak Par Woh Pohchi Dua Ban Gai Hai

Qadam Chan Par Tu Zameen Par Hain Nazrain
Duniya Yah Ab Kiya Se Kiya Ban Gai Hai

Na Ho Pori Kassay Tamana Yah WAHID
Kay Sayel Humari Nigaah Ban Gai Hain

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 


This Poem Beautiful Poet By Hazrat Khuwaja Sufi Abdul WAHID Sultan R.h
Book Name DEWAAN WAHID

ilam Ke 2 Thailay Ata Howay Hazrat Abu Huraira


Hum Say Ismail Bin Abi Awais Nay Biyaan Kiya Kaha Mujh Se Meray Bhai Abdul Hameed Nay Unho Nay Ibn Abi Zaib Say Unho Nay Saeed Muqbra Say Or Unho Nay Hazrat Abu Huraira R.z Say Kaha Mein Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W Say ilam Kay 2 Thailay Seakhay. Yani 2 Tarah Kay ilam Hasil Kiay  1 Ko Mein Nay Logo May Phaila Diya Or Dosray Ko Agar May Phalao Tu Mera Baloom Kat Dala Jay Ga Imam Bukhari R.h Nay Kaha  Baloom Woh hai Jiss Say Khana Neachay Utarta Hai...

SafaNo156 Hadees Number 120 Bab Number 84Kitaab ul ilam

Saturday 25 June 2016

Mohhbat Kay Wadday By Dewaan Wahid


Mohhbat Kay Wadday Ya Qasmain Waffa Ki
Tumahain Kiya Pata Nibhatay Hain Kassay
Khiyalo Mein Rehtay Hain Jo Sirf Apnay
 Wafao Ki Duniya May Aatay Hain Kassay

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Wednesday 22 June 2016

Beautiful Poet Hazrat Khuwaja Sufi Abdul Wahid Sultan

Le Kar Woh Dil Humara Anjaan Ban Gaya Hai
Iss Dil May Basnay Wala Mehman Ban Gaya Hai

Hanstay Howay Kabhi Jo Apna Kaha Tha Humko
Apni To Zindagi Ka Paymaan Ban Gaya

Logo Say Miltay Miltay Hum Pe Bhi Aik Nazar Ho
Teri Nazar May Rehna Armaan Ban Gaya Hai

Tara Bay-Rukhi say Kehna Humain na Tum Youn Sattao
Mere Liya Tu Yah Bhi Farmaan Ban Gaya Hai

Taray Bharam Ki Khatir Sab Kuch Louta Kay Deakho
Ustaad Tha Magar Ab Shitaan Ban Gaya Hai

Tareef Likhtay Likhtay Taray Hussan Bay Panah Ki
Kalma Tha Jo Kabhi Woh Quran Ban Gaya Hai

Sorat Garo May Rehna Unko Bura Na Kehna
WAHID Ka Ab Tu Yah Bhi Imaan Ban Gaya Hai
 
      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 
 



Aay Sehar Gharnata Aay Diyaar Salateen DEWAAN WAHID



Aay Sehar Gharnata Aay Diyaar Salateen e Hasham
Iss Duniya Mein Tu Ahad Rafta Ka Ameen Hai

Tu Nay Daman May Samoiya Umanday Howay Tufano Ko
Khone Insan May Deakha Doobay Howay Insano Ko

Tu Ain He Bikhri Howi Yadon Ki Zameen Hai
Gonja Tha Jo Nara Taray Darbaro May Kabhi

Lehraiya tha Jo Parcham Taray Minaaro May Kabhi
Woh Gunj Woh Parcham Waqat Ki Sanso May Makeen Hai

Iss Khak Muqadas May Dafan hain Woh Janbazz
Aqal Insan say Bhi Aagay Thi Jin Ki Tang wa Taaz

Ain Ki Talwaro Say Nikli Howi Awaz Zamanay Nay Suni Hai
Taray Shafeeq Rang Baharo May Hai Laho Raqsa

Taray Gul Rang Nazaro May Hai Laho Raqsa
Iss Khune Muqadas Ka Faqat Tu He Ameen Hai

Shayad Abhi Bhola Nahi Hoga Woh Zamana Tujh Ko
Sheh Rag Kay Laho Say Diya Tha Aik Gusaal Shahana Tujko
Iss Ghusal say Ab Tak Teri Roshan Zabeen Hai

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Tuesday 21 June 2016

Teri He Tamana Mein Aay Dewaan WAHID


Teri He Tamana Mein Aay Thay Sar Manzil
Tu Nahi Manzil Pe Tu Kiya Karin Manzil Ko

Iss Dil May Faqat Yadain Tari He Samaai Hain
Yadain Nahi Baqi Tu Hum Kiya Karin Iss Dil Ko

Hai Pholo May Khushbo Bhi Taray Paseenay Ki
Jiss Main Nahi Shamil Tu Hum Kiya Karin Iss Gull Ko

Tofaan He Achay Hain Rehnay Do yaheen Mujh Ko
Jab Dil He Nahi Manay Tu Hum Kiya Karin Sahil Ko

Bus Taray Liya He Hum Saqi Banay Phirtay
Jab Tu He Nahi Aaya Tu Kiya Karin Mahfil Ko

Dewaan WAHID

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان