page contents THE GREAT SUFI SAINTS: آئینہ حیات مبارکہ

آئینہ حیات مبارکہ

 WALLADAT BA SAIDAAT

App R.h Hindostan kay  Zilla Jalandhar Kay Gaao Baka Pur Kay Mouziz Aarain Khandan say Taluq Rakhtay thay.App R.h Kay Walid C.h Abdul Ghafoor ki Shahdi ko Jab 1 Arsa Guzar Gaya Orr Koi Oulaad Na Howi To App R.h k Walid Sahib nay Klyer Shareef Hazrat Khuwaja Allao Din Sabir Klyari (R.H) Kay Mazar Par Puranwar Par Hazri Di Or Khasoosi Dua Farmai.App ki Paidaish 6 JUNE 1945 Barooz Wed  ko Howi. Ap (R.H) KO HAZRAT Khuwaja Allao Din Sabir Klyari R.h ki Rohani Oulaad Bhi Kaha Jata ha.

App ka Nam ABDUL WAHID SULTAN Rakha Gaya.


PAKISTAN KI TARAF HIJRAT     

App (R.H) Bohat Chotay thay jab app k abao ajdad  1947 may Qiyam e Pakistan k Waqat Hindostan say Hijrat kar k Pakistan  Tashreef lay aay Orr RAM PUR may Mustaqeel Sakonat Ikhtiyar karli Ram Pur ka Moujoda Nam DeenPur ha jo South Punjab Zilla MUZAFFARGARH May Mulhiq hai..


TALEEM WA TARBIYAT 

Hazrat Khuwaja Peer Sufi Abdul Wahid (R.H) nay Gharulo Tarbiyat kay Bad Ibtadaai Taleem Govt Primary School Deen Pur say Hasil ki. Orr Phir Govt High School MuzaffarGarh say Matric Ka Imtihan Pass kiya Badaza Intermediate Or Graduation Kay Liya Govt Degree College Muzaffargarh Ka Intakhab kiya.  App nay Graduation ki taleem Mukamal karnay kay Baad 1964 Mein Fazil e Tibb Jarhaat ka Course Bhi Mukamal Kar liya Tha. App (R.H) ko Boht c Zabano pe Dastras thi jin may Urdu Punjabi Suraiki Arbi Farsi Hindi Angraizi Qabil e zikar Hain.

SHADI KHANA ABADI

App R.H Ki Shadi 6 OCT 1966 Barooz Thursday  Sar Anjam Pai.ALLAH Nay App  R.H ko 3 Shahbzado Or 2 Shahbzadii Say Nawaza. App R.H Kay Shabzado Kay Naam Muhammad Raouf , Ali Farooq , Or Abdul Rehman Hain Ap R.H Kay Sab Say Chotay Shahbzaday Abdul Rehman 13 Baras Ki Umer may Wafaat Pa Gay Thay.

Biyat

Hazrat Khuwaja Allao Din Sabir Klyari R.h Ka Faiz e Rohani Or Taqdas Rehmani Ap R.H Ki Willadat Say He Aashkaar Tha.App R.H Bachpan He Say Rohaniyat Ki Taraf Maiyal Or Sufiyana Tabiyat Kay Malik Thay. App R.H Ko 25 DEC 1980 Barooz Jumairaat  Malik Jahaan Fard e Alam Mazhar e Khuda Tasveer Mustafa S.A.W Hazrat Khuwaja Qazi MUHAMMAD SHAH KAMIL R.H GHAREEB NAWAZ K Dast HAQ Par Biyat Ki  Sadaat Hasil Howi. Jo Maslak Wahdatul Wajood  Mein Kamil Thay.App R.H Peer Mukram Mashoor Chistiya  Silsila Kay Mashoor Wali Or Kamil Buzrug Thay. Or Charo Salasil  Chistiya,Qadriya,Seharwardiya,Naqshbandia Kay Majaaz e KUL Thay. Lakin Zaida Parchar Silsila e Chistiya Ka Farmatay Thay. App R.H Apnay Peer Sb Say Bohat Muhabbat Kartay Or Apna Sab Kuch Ain Pee Qurban Kar Chukay Thay. App R.H Aksar Ain Say Milnay Unkay Astan Zila Rahum Yar Khan Kay Illaqa Tranda Muhammad Panah Jaya Kartay Or Peer Muhtram Ki Tamam Mahfilo May Shirkat Farmiya Kartay Thay. App R.h Kuch Arsa Ain kay Astan Par Khidmat May Bhi Mamoor Rahay.App Nay Tamam Aloom Zahiri Wa Batni Apnay Peer o Murshid Say Hasil KiyaOr Haqiqat Marfaat Tareeqat Shariyat Kay Aloom Par Aboor Hasil Kiya. App R.H Kay Peer Mukaram Hazrat Muhammad Shah Kamil R.H App ki Khasoosi Dawaat Par Phalli Bar 25 Aprail 1981 Ko Deen Pur Tasreef Laay Orr App Ko Sharf e Mazbani Baksha  App R.H Sarwar Konain Waja e Takhleeq Kainat Aaqay do jahaan Fakhar Moujodaat Tajdaar e Madina S.A.W Had e Dar Muhabbat Or Aqeedat Thi. Orr Har Saal 12 Rabi Awal Ko DEEN PUR SHAREEF May Mahfil e Milaad Ka Inaqad Farmatay Thay. App R.H Kay Peer Muhtram  Har Saal Bohat Mohabbat Or Aqeddat Say Shirkat Farma Kar Iss Mahfil Kay Rohani Or Mutasfana Mahool May Izaffa Farmatay Orr Hazreen Ko Apni Moujdgi Or Irshadat SayFaizyab Kartay Thay. Guzashta Chand Barso Say Mahfil Millad Har Mah Chand ki 12 Tareekh Ko Bad Namaz e ISHA Munaqid Ki Jatti Hai 

1 comment: