page contents THE GREAT SUFI SAINTS: Kallam Hazrat Khuwaja Peer Sufi Abdul Wahid R.H

Wednesday, 15 June 2016

Kallam Hazrat Khuwaja Peer Sufi Abdul Wahid R.H


Mein Malik e Konain Hon Mujh say Jahaan Abad Hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai
Aflaak hain Zer Nageen Gardo Pe Mara Raaj Hai
Iss Jahaan May La Makah may Meri He Parwaz Hai


Mein He Awal Mein He Aakhir Mein hun Zahir Barmala
Mujh se Hai Sara Zamana Main Hun Zaat e Kibriya
Jannet Dozakh Ki Ya Duniya Mara He Ail Raaz hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Madan e Makhfi Say Tha Jo Nageen Bahir Howa
Mein nay Badla Bhais To Ya Jahaan Zahir Howa
Iss Jahaan ki Jaan Jo Ha Meri He Awaz Hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Mein Hun Naaz Dilbara Mahboob Rab e Aashqa
Mein Hun Taaj Sarwara Mein Faqeer e Natawa
Arsh Kursi Ka Ya Malik Mara he Humraaz Hau
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Tu kehay Jiss Ko Khuda Woh Khuda Mein he To Hun
Tu Kehay Jiss Ko Juda Woh Juda Mein He To Hun
Koi Jo Kuch Bhi Kehay Ga Meri He Awaaz  Haai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Shan Awal Meri ha Or Shan Aakhir Mujh Se haai
Main Kabhi Kuch Bhi Nahi Phir Bhi Sab Mujh say ha
Dil May Bajta Hai Jo Har Dam Mara He Aik Saaz Hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Mein Chuppa Zahir Howa Zahir Ho Kar Chup Gaya
May He Wahid May Muhammad Peer e Kamil Ban Gaya
Main Nay He Duniya Sajaai Ya Mara Andaaz Haiii
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai

 Hazrat Khuwaja Peer Sufi Abdul Wahid Sultan R.H




No comments:

Post a Comment